yun teri rah mein paDe hue hain
yuuñ tirī raah meñ paḌe hue haiñ
jaise dargāh meñ paḌe hue haiñ
ġham haiñ jitne bhī is zamāne ke
merī ik aah meñ paḌe hue haiñ
mere bachchoñ ke ḳhvāb to filhāl
chhoTī tanḳhvāh meñ paḌe hue haiñ
bach ke nikle jo maut ke muñh se
yād-e-allāh meñ paḌe hue haiñ
kab kisī kī huī hai ye duniyā
ham abas chaah meñ paḌe hue haiñ
ḳhaak honā nasīb hai lekin
hashmat-o-jāh meñ paḌe hue haiñ
ik nazar ham pe mahvish-e-āzam
tere kunjāh meñ paḌe hue haiñ
kuchh ġharaz hī nahīñ jise ham se
us kī parvāh meñ paḌe hue haiñ
jin ko zindāñ meñ honā chāhiye thā
hujra-e-shāh meñ paḌe hue haiñ
aap se ham-kalām hai 'ābid'
log kyoñ vaah meñ paḌe hue haiñ
yun teri rah mein paDe hue hain
jaise dargah mein paDe hue hain
gham hain jitne bhi is zamane ke
meri ek aah mein paDe hue hain
mere bachchon ke KHwab to filhaal
chhoTi tanKHwah mein paDe hue hain
bach ke nikle jo maut ke munh se
yaad-e-allah mein paDe hue hain
kab kisi ki hui hai ye duniya
hum abas chah mein paDe hue hain
KHak hona nasib hai lekin
hashmat-o-jah mein paDe hue hain
ek nazar hum pe mahwish-e-azam
tere kunjah mein paDe hue hain
kuchh gharaz hi nahin jise hum se
us ki parwah mein paDe hue hain
jin ko zindan mein hona chahiye tha
hujra-e-shah mein paDe hue hain
aap se ham-kalam hai 'abid'
log kyon wah mein paDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.