yun teri yaad mein sulagte hain
yuuñ tirī yaad meñ sulagte haiñ
jaise sahrā meñ peḌ jalte haiñ
le uḌegī havā-e-dahr hameñ
ham ḳhizāñ-rut ke zard patte haiñ
ḳhushk dariyā unheñ nahīñ dikhte
jo parinde uḌaan rakhte haiñ
joḌte haiñ tamām din ḳhud ko
raat bhar reza-reza hote haiñ
ratjage kāTte haiñ rātoñ ko
ham ki din bhar jo niiñd bote haiñ
ho ga.ī hār-jīt be-ma.anī
aao ye khel ḳhatm karte haiñ
is liye be-murād haiñ shāyad
dil meñ jo aa.e kar guzarte haiñ
ḳhvāb us ke qadam qadam 'ash.ar'
aañkh ke rāste meñ aate haiñ
yun teri yaad mein sulagte hain
jaise sahra mein peD jalte hain
le uDegi hawa-e-dahr hamein
hum KHizan-rut ke zard patte hain
KHushk dariya unhen nahin dikhte
jo parinde uDan rakhte hain
joDte hain tamam din KHud ko
raat bhar reza-reza hote hain
ratjage kaTte hain raaton ko
hum ki din bhar jo nind bote hain
ho gai haar-jit be-mani
aao ye khel KHatm karte hain
is liye be-murad hain shayad
dil mein jo aae kar guzarte hain
KHwab us ke qadam qadam 'ashar'
aankh ke raste mein aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.