yun to ahbab ko sab achchha nazar aaega
yuuñ to ahbāb ko sab achchhā nazar aa.egā
koī muflis koī darmāñda nazar aa.egā
phir tumheñ merī aziyyat kī samajh aa.egī
jab koī ḳhvāb tumheñ aadhā nazar aa.egā
chauk se sīdhī galī ghar kī taraf jaatī hai
moḌ muḌte hī vo darvāza nazar aa.egā
tum mirī aañkh se duniyā ko agar dekhoge
phir mohabbat meñ bhī ḳhamyāza nazar aa.egā
chāñdnī raat meñ kuchh pariyāñ vahāñ aatī haiñ
dekhne ke liye shahzāda nazar aa.egā
dekhte rahnā ki ab maiñ ne safar karnā hai
dekhne vāloñ ko ik saaya nazar aa.egā
apnī āñkhoñ ko chhalakne nahīñ denā 'ārib'
ek darvesh tumheñ pyāsā nazar aa.egā
yun to ahbab ko sab achchha nazar aaega
koi muflis koi darmanda nazar aaega
phir tumhein meri aziyyat ki samajh aaegi
jab koi KHwab tumhein aadha nazar aaega
chauk se sidhi gali ghar ki taraf jati hai
moD muDte hi wo darwaza nazar aaega
tum meri aankh se duniya ko agar dekhoge
phir mohabbat mein bhi KHamyaza nazar aaega
chandni raat mein kuchh pariyan wahan aati hain
dekhne ke liye shahzada nazar aaega
dekhte rahna ki ab main ne safar karna hai
dekhne walon ko ek saya nazar aaega
apni aankhon ko chhalakne nahin dena 'arib'
ek darwesh tumhein pyasa nazar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.