yun to apni duniya mein pahchan nahin
yuuñ to apnī duniyā meñ pahchān nahīñ
sach kahtā huuñ maiñ chāhe tū maan nahīñ
khul kar bolo jo bhī tum ko kahnā hai
mere ghar kī dīvāroñ ke kaan nahīñ
kamzoroñ par apnā zor chalā.e jo
merī nazar meñ yāroñ vo balvān nahīñ
sher kahe haiñ ham ne kuchh TūTe-phūTe
apnā 'ġhālib' jaisā to dīvān nahīñ
jo chāho āsānī se ban jāoge
shā.ir banñā itnā bhī āsān nahīñ
ḳhālī haath bulāoge aur paḌh degā
itnā sastā shā.ir to 'irfān' nahīñ
yun to apni duniya mein pahchan nahin
sach kahta hun main chahe tu man nahin
khul kar bolo jo bhi tum ko kahna hai
mere ghar ki diwaron ke kan nahin
kamzoron par apna zor chalae jo
meri nazar mein yaron wo balwan nahin
sher kahe hain hum ne kuchh TuTe-phuTe
apna 'ghaalib' jaisa to diwan nahin
jo chaho aasani se ban jaoge
shair banna itna bhi aasan nahin
KHali hath bulaoge aur paDh dega
itna sasta shair to 'irfan' nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.