yun to baDhti ja rahi hain qimaten saman ki
yuuñ to baḌhtī jā rahī haiñ qīmateñ sāmān kī
koī bhī qīmat nahīñ hai aadmī kī jaan kī
ye to mumkin hī nahīñ ye kaun samjhā.e use
mujh ko qīmat de rahā hai vo mire ehsān kī
jaane kitne hī musavvir koshisheñ karte rahe
aaj tak badlī nahīñ tasvīr hindostān kī
ek koshish kar ke ham īmān vaale dekh leñ
yuuñ to pahle se hī tai hai jiit be-īmān kī
yun to baDhti ja rahi hain qimaten saman ki
koi bhi qimat nahin hai aadmi ki jaan ki
ye to mumkin hi nahin ye kaun samjhae use
mujh ko qimat de raha hai wo mere ehsan ki
jaane kitne hi musawwir koshishen karte rahe
aaj tak badli nahin taswir hindostan ki
ek koshish kar ke hum iman wale dekh len
yun to pahle se hi tai hai jit be-iman ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.