yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad
yuuñ to bahut hasīñ hai bahār-e-chaman kī yaad
dil par magar hai naqsh isī anjuman kī yaad
ham ḳhud ġham-e-hayāt se sīna-figār haiñ
ai dosto dilāo na us gul-badan kī yaad
is inthā-e-talḳhī-e-daurāñ ke bāvajūd
taaza hai aaj bhī kisī shīrīñ-dahan kī yaad
phir jī meñ hai ki khā.iye koī nayā fareb
phir aa rahī hai ik but-e-va.ada-shikan kī yaad
rañgīn bādaloñ ke ye TukḌe ye chāñdnī
aksar dilā ga.e haiñ tire bāñkpan kī yaad
uljhan ġham-e-hayāt kī kuchh aur baḌh ga.ī
aa.ī hai jab bhī zulf shikan-dar-shikan kī yaad
'arshad' dayār-e-ġhair meñ sab kuchh luTā ke ham
dil se lagā.e phirte haiñ apne vatan kī yaad
yun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad
dil par magar hai naqsh isi anjuman ki yaad
hum KHud gham-e-hayat se sina-figar hain
ai dosto dilao na us gul-badan ki yaad
is intha-e-talKHi-e-dauran ke bawajud
taza hai aaj bhi kisi shirin-dahan ki yaad
phir ji mein hai ki khaiye koi naya fareb
phir aa rahi hai ek but-e-wada-shikan ki yaad
rangin baadalon ke ye TukDe ye chandni
aksar dila gae hain tere bankpan ki yaad
uljhan gham-e-hayat ki kuchh aur baDh gai
aai hai jab bhi zulf shikan-dar-shikan ki yaad
'arshad' dayar-e-ghair mein sab kuchh luTa ke hum
dil se lagae phirte hain apne watan ki yaad
- Book : Nagma zaad (Pg. 97)
- Author : Arshad Siddiqui
- Publication : Arshad Siddiqui (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.