yun to dushwar hai chhoTe ka baDa ho jaana
yuuñ to dushvār hai chhoTe kā baḌā ho jaanā
har bhatīje kī hai me.arāj chachā ho jaanā
hosh to hosh lañgoTī bhī ga.ī majnūñ kī
kitnā mahñgā paḌā lailā pe fidā ho jaanā
kam se kam vo sar-e-bāzār to uchhle kore
le ke pagḌī sar-e-vā.iz se havā ho jaanā
ham ne dekhā hai inhīñ āñkhoñ se kuchh bandoñ kā
chaḌh ke kursī-e-vazārat pe ḳhudā ho jaanā
yaad aatā hai to aatī hai raqīboñ pe hañsī
dekhte hī mujhe vo un kā havā ho jaanā
ye to hai zo.af-e-masāna kī dalīl ai vaa.iz
har sahar terī namāzoñ kā qazā ho jaanā
un kī bhābhī ne buḌhāpe meñ diyā hai bachcha
ab musallam huā 'hāshim' kā chachā ho jaanā
yun to dushwar hai chhoTe ka baDa ho jaana
har bhatije ki hai mearaj chacha ho jaana
hosh to hosh langoTi bhi gai majnun ki
kitna mahnga paDa laila pe fida ho jaana
kam se kam wo sar-e-bazar to uchhle kore
le ke pagDi sar-e-waiz se hawa ho jaana
hum ne dekha hai inhin aankhon se kuchh bandon ka
chaDh ke kursi-e-wazarat pe KHuda ho jaana
yaad aata hai to aati hai raqibon pe hansi
dekhte hi mujhe wo un ka hawa ho jaana
ye to hai zoaf-e-masana ki dalil ai waiz
har sahar teri namazon ka qaza ho jaana
un ki bhabhi ne buDhape mein diya hai bachcha
ab musallam hua 'hashim' ka chacha ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.