yun to haji bhi tha mulla bhi tha wo pir bhi tha
yuuñ to haajī bhī thā mullā bhī thā vo piir bhī thā
misal-e-sā.īs magar terā ināñ-gīr bhī thā
saiñkaḌoñ tarah kī chīzeñ thiiñ dinner meñ lekin
ye to farmā.eñ vahāñ qīma-e-ḳhinzīr bhī thā
yuuñ to mizhgāñ ke kaTāroñ se musallah the sabhī
māh-vash un meñ koī dast-ba-shamshīr bhī thā
merī hī aañkh kā tinkā nazar aayā sab ko
varna kuchh logoñ kī āñkhoñ meñ to shahtīr bhī thā
paḌh ke collage meñ bhī masjid kī imāmat hī milī
is meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbī-e-taqdīr bhī thā
na huā hāshim-e-ayyār ke dil meñ sūrāḳh
ai shikārī tire tarkash meñ koī tiir bhī thā
yun to haji bhi tha mulla bhi tha wo pir bhi tha
misal-e-sais magar tera inan-gir bhi tha
sainkaDon tarah ki chizen thin dinner mein lekin
ye to farmaen wahan qima-e-KHinzir bhi tha
yun to mizhgan ke kaTaron se musallah the sabhi
mah-wash un mein koi dast-ba-shamshir bhi tha
meri hi aankh ka tinka nazar aaya sab ko
warna kuchh logon ki aankhon mein to shahtir bhi tha
paDh ke collage mein bhi masjid ki imamat hi mili
is mein kuchh shaiba-e-KHubi-e-taqdir bhi tha
na hua hashim-e-ayyar ke dil mein suraKH
ai shikari tere tarkash mein koi tir bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.