yun to hai sahl har ek kaam ka aasan hona
yuuñ to hai sahl har ik kaam kā āsāñ honā
maulvī ke liye dushvār hai insāñ honā
niim uryāñ jo nazar aatī huuñ chalte phirte
koī dushvār hai un ke liye uryāñ honā
baiThne kī jo ijāzat mujhe DevḌhī pe milī
bole ahbāb mubārak tujhe darbāñ honā
maslahat kā thā taqāzā jo baḌhā lī dāḌhī
aqd kī shart thī dīñ-dār musalmāñ honā
bhuul kar bhī na kabhī shaiḳh ko mehmāñ karnā
bhuul kar bhī na kabhī shaiḳh ke mehmāñ honā
ishtihā-ḳhez hai iftārī kī ḳhushbū 'hāshim'
roza-dāroñ na mujhe dekh ke hairāñ honā
yun to hai sahl har ek kaam ka aasan hona
maulwi ke liye dushwar hai insan hona
nim uryan jo nazar aati hun chalte phirte
koi dushwar hai un ke liye uryan hona
baiThne ki jo ijazat mujhe DewDhi pe mili
bole ahbab mubarak tujhe darban hona
maslahat ka tha taqaza jo baDha li daDhi
aqd ki shart thi din-dar musalman hona
bhul kar bhi na kabhi shaiKH ko mehman karna
bhul kar bhi na kabhi shaiKH ke mehman hona
ishtiha-KHez hai iftari ki KHushbu 'hashim'
roza-daron na mujhe dekh ke hairan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.