yun to hamare bich koi fasla nahin
yuuñ to hamāre biich koī fāsla nahīñ
phir bhī hamāre biich koī vāsta nahīñ
nākāmī-e-safar kā sabab kuchh na pūchhiye
manzil to sāmne hai magar rāsta nahīñ
rahtā huuñ mast-e-ḳhvāb sitāroñ kī chhāñv meñ
is shahr meñ mujhe koī pahchāntā nahīñ
alfāz ko baratne kā ma.alūm hai hunar
phir bhī maiñ un ke sāmne kuchh boltā nahīñ
'jauhar' vo mujh ko chhoḌ ke tanhā chalā gayā
phir bhī mujhe yaqīn hai vo bevafā nahīñ
yun to hamare bich koi fasla nahin
phir bhi hamare bich koi wasta nahin
nakaami-e-safar ka sabab kuchh na puchhiye
manzil to samne hai magar rasta nahin
rahta hun mast-e-KHwab sitaron ki chhanw mein
is shahr mein mujhe koi pahchanta nahin
alfaz ko baratne ka malum hai hunar
phir bhi main un ke samne kuchh bolta nahin
'jauhar' wo mujh ko chhoD ke tanha chala gaya
phir bhi mujhe yaqin hai wo bewafa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.