yun to hamare shahr mein qanun bhi nahin
yuuñ to hamāre shahr meñ qānūn bhī nahīñ
qānūn kā sire se magar ḳhuun bhī nahīñ
me'yār-e-she'r merā na tum jāñch pāoge
aqdār agar nahīñ hai to shab-ḳhūn bhī nahīñ
yuuñ to koī sharīf bulātā nahīñ mujhe
lekin maiñ saare shahr meñ mat’ūn bhī nahīñ
maiñ jis kā bojh sar pe liye phir rahā huuñ aaj
suntā huuñ ye ki vo mirā mamnūn bhī nahīñ
kyoñ hañs rahe haiñ aap mirā ghar hai lāpata
is naqshe meñ to aap kā rangūn bhī nahīñ
jaane kahāñ gayā hai vo merā sharīk-e-ġham
ḳhat bhī nahīñ hai koī koī phone bhī nahīñ
kyoñ mujh se ‘askarī kī tarah milte ho 'nazar'
maiñ to tumhārā bhaa.ī humāyūn bhī nahīñ
yun to hamare shahr mein qanun bhi nahin
qanun ka sire se magar KHun bhi nahin
me'yar-e-she'r mera na tum jaanch paoge
aqdar agar nahin hai to shab-KHun bhi nahin
yun to koi sharif bulata nahin mujhe
lekin main sare shahr mein mat’un bhi nahin
main jis ka bojh sar pe liye phir raha hun aaj
sunta hun ye ki wo mera mamnun bhi nahin
kyon hans rahe hain aap mera ghar hai lapata
is naqshe mein to aap ka rangun bhi nahin
jaane kahan gaya hai wo mera sharik-e-gham
KHat bhi nahin hai koi koi phone bhi nahin
kyon mujh se ‘askari ki tarah milte ho 'nazar'
main to tumhaara bhai humayun bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.