yun to hangame bahut dil mein bapa rahte hain
yun to hangame bahut dil mein bapa rahte hain
Krishn Gopal Maghmum
MORE BYKrishn Gopal Maghmum
yuuñ to hangāme bahut dil meñ bapā rahte haiñ
ham baḌe ḳhush haiñ ki rāzī-ba-razā rahte haiñ
sajtī rahtī haiñ hamāre hī liye dār-o-salīb
koī bhī daur ho ham surḳh-qabā rahte haiñ
zaḳhm haiñ siine meñ lekin hai tabassum lab par
ham ba-taqlīd-e-rah-o-rasm-e-vafā rahte haiñ
apnī nazroñ meñ to ne.amat sī hai ne.amat yaaro
hoñge vo aur jo hastī se ḳhafā rahte haiñ
hind kī ḳhaak kā har zarra hai taqdīs-ma.āb
zarre zarre ke tale ahl-e-safā rahte haiñ
ishq ke bandoñ se kyā tujh ko ġharaz ai duniyā
ham ki haiñ sab se alag sab se judā rahte haiñ
roz le aatī hai un zulfoñ kī ḳhushbū ham tak
ham tire faiz pe ai bād-e-sabā rahte haiñ
apnī pahchān hazāroñ meñ bhī ho jā.egī
ek hī vaz.a pe ham sub.h-o-masā rahte haiñ
naġhmagī de ke har ik nāla-e-ġham ko 'maġhmūm
ham haiñ majbūr-e-navā naġhma-sarā rahte haiñ
yun to hangame bahut dil mein bapa rahte hain
hum baDe KHush hain ki raazi-ba-raza rahte hain
sajti rahti hain hamare hi liye dar-o-salib
koi bhi daur ho hum surKH-qaba rahte hain
zaKHm hain sine mein lekin hai tabassum lab par
hum ba-taqlid-e-rah-o-rasm-e-wafa rahte hain
apni nazron mein to neamat si hai neamat yaro
honge wo aur jo hasti se KHafa rahte hain
hind ki KHak ka har zarra hai taqdis-maab
zarre zarre ke tale ahl-e-safa rahte hain
ishq ke bandon se kya tujh ko gharaz ai duniya
hum ki hain sab se alag sab se juda rahte hain
roz le aati hai un zulfon ki KHushbu hum tak
hum tere faiz pe ai baad-e-saba rahte hain
apni pahchan hazaron mein bhi ho jaegi
ek hi waza pe hum subh-o-masa rahte hain
naghmagi de ke har ek nala-e-gham ko 'maghmum
hum hain majbur-e-nawa naghma-sara rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.