yun to har dil mein ghaw hai baba
yuuñ to har dil meñ ghaav hai baabā
varna sab rakh-rakhāv hai baabā
ab kahāñ hai vafā kī ThanDī havā
saarī bastī alaav hai baabā
kāñpte hoñT murta.ish fiqre
kis ko kis se lagāo hai baabā
maut bahtī huī nadī kī tarah
ziist kāġhaz kī naav hai baabā
mujh ko tasvīr-e-zindagī na dikhā
mujh meñ gautam kā bhaav hai baabā
yun to har dil mein ghaw hai baba
warna sab rakh-rakhaw hai baba
ab kahan hai wafa ki ThanDi hawa
sari basti alaw hai baba
kanpte honT murtaish fiqre
kis ko kis se lagao hai baba
maut bahti hui nadi ki tarah
zist kaghaz ki naw hai baba
mujh ko taswir-e-zindagi na dikha
mujh mein gautam ka bhaw hai baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.