yun to hasin aksar hote hain shan wale
yuuñ to hasīn aksar hote haiñ shaan vaale
lekin kuchh aur hai tū o ān-bān vaale
nāqūs-e-dair phūñkūñ kā'be meñ yā azaan duuñ
tujh ko kahāñ pukārūñ o lā-makān vaale
mimbar pe baiTh kar tū itnā bahak na vā'iz
kaisī ye nīchī bāteñ ūñchī dukān vaale
ye husn ye javānī mehmāñ hai chand roza
is par na kar ye ġharra o ān-bān vaale
kā'be ko shaiḳh jaa.e but-ḳhāne ko barahman
yūñhī DaTe raheñge us āstān vaale
abrū pe Daal kar bal tirchhī nazar na kar tū
ye tiir kaj paḌegā bāñkī kamān vaale
ġhairoñ pe to nazar hai merī bhī kuchh ḳhabar hai
maiñ bhī miTā huā huuñ o ān-bān vaale
talvār khīñch kar kyā baazū ko dekhtā hai
do haath bas lagā de ab imtihān vaale
qaa.il tirā jahāñ hai haañ farq darmiyāñ hai
kuchh haiñ yaqīn vaale kuchh haiñ gumān vaale
farhād qais donoñ de baiThe jaan āḳhir
marte haiñ baat hī par jitne haiñ aan vaale
vo kis liye bulā.eñ jaa.eñ 'hafīz' ham kyuuñ
vo bhī haiñ shaan vaale ham bhī haiñ aan vaale
yun to hasin aksar hote hain shan wale
lekin kuchh aur hai tu o aan-ban wale
naqus-e-dair phunkun ka'be mein ya azan dun
tujh ko kahan pukarun o la-makan wale
mimbar pe baiTh kar tu itna bahak na wa'iz
kaisi ye nichi baaten unchi dukan wale
ye husn ye jawani mehman hai chand roza
is par na kar ye gharra o aan-ban wale
ka'be ko shaiKH jae but-KHane ko barahman
yunhi DaTe rahenge us aastan wale
abru pe Dal kar bal tirchhi nazar na kar tu
ye tir kaj paDega banki kaman wale
ghairon pe to nazar hai meri bhi kuchh KHabar hai
main bhi miTa hua hun o aan-ban wale
talwar khinch kar kya bazu ko dekhta hai
do hath bas laga de ab imtihan wale
qail tera jahan hai han farq darmiyan hai
kuchh hain yaqin wale kuchh hain guman wale
farhad qais donon de baiThe jaan aaKHir
marte hain baat hi par jitne hain aan wale
wo kis liye bulaen jaen 'hafiz' hum kyun
wo bhi hain shan wale hum bhi hain aan wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.