yuuñ to hone ko kyā nahīñ hotā
dil kā uqda hī vā nahīñ hotā
aap to ho ga.e judā ham se
aap kā ġham judā nahīñ hotā
jo kisī kī burā.ī kartā hai
kabhī us kā bhalā nahīñ hotā
ḳhuld se kar muqābla ai shaiḳh
mai-kade meñ bhī kyā nahīñ hotā
ab kisī taur e'tibār hameñ
aap kī baat kā nahīñ hotā
saarī duniyā ko bevafā na kaho
har koī bevafā nahīñ hotā
apnā apnā ḳhayāl hai 'ābid'
varna koī burā nahīñ hotā
yun to hone ko kya nahin hota
dil ka uqda hi wa nahin hota
aap to ho gae juda hum se
aap ka gham juda nahin hota
jo kisi ki burai karta hai
kabhi us ka bhala nahin hota
KHuld se kar muqabla ai shaiKH
mai-kade mein bhi kya nahin hota
ab kisi taur e'tibar hamein
aap ki baat ka nahin hota
sari duniya ko bewafa na kaho
har koi bewafa nahin hota
apna apna KHayal hai 'abid'
warna koi bura nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.