yun to ek silsila sa rakhta hai
yuuñ to ik silsila sā rakhtā hai
jaane kyoñ fāsla sā rakhtā hai
jaan letā huuñ us kī ḳhāmoshī
dard ik rābta sā rakhtā hai
dekhtā hai mujhe vo muḌ muḌ kar
yā'nī ek vāsta sā rakhtā hai
us ġhazal ko sunā.eñ apnī ġhazal
vo bhī kuchh martaba sā rakhtā hai
band kartā hai saare darvāze
phir nayā hausla sā rakhtā hai
yun to ek silsila sa rakhta hai
jaane kyon fasla sa rakhta hai
jaan leta hun us ki KHamoshi
dard ek rabta sa rakhta hai
dekhta hai mujhe wo muD muD kar
ya'ni ek wasta sa rakhta hai
us ghazal ko sunaen apni ghazal
wo bhi kuchh martaba sa rakhta hai
band karta hai sare darwaze
phir naya hausla sa rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.