yun to ek zamane se be-rafiq-o-tanha hun
yuuñ to ik zamāne se be-rafīq-o-tanhā huuñ
vird-e-har-zabāñ huuñ maiñ shahr bhar kā charchā huuñ
mujh se mil ke har koī sar paTak ke rah jaa.e
jo kahīñ nahīñ jaatā maiñ vo band rastā huuñ
aa.ina magar aisā kuchh bhī to nahīñ kahtā
log mujh se kahte haiñ maiñ bhī ek chehra huuñ
khīñchte ho har jānib kis liye lakīreñ sī
maiñ na koī rāvan huuñ maiñ na koī siitā huuñ
bhaag kar kahāñ jā.ūñ kis jagah amaañ pā.ūñ
pattharoñ kī bastī meñ maiñ hī ek shīsha huuñ
sar-phirī havā.eñ ab chheḌ chheḌ jaanī haiñ
jo na shāḳh par Thahrā maiñ vo zard pattā huuñ
maz.har-e-shujā'at huuñ lekin is se kyā hāsil
maiñ hujūm-e-tiflāñ meñ rīchh kā tamāshā huuñ
dekhnā agar chāho ḳhud ko dekh lo mujh meñ
maiñ mizāj-e-daurāñ kā ā.ina-sarāpā huuñ
tishna-e-samā'at huuñ dasht meñ sadāoñ ke
baat ko tarastā huuñ gung huuñ na bahrā huuñ
log mere baare meñ kyā se kyā nahīñ kahte
maiñ bhī zaat par un kī tanz kartā rahtā huuñ
log ḳhvāh kuchh boleñ koī naam deñ mujh ko
maiñ 'ramesh-tanhā' thā maiñ 'ramesh-tanhā' huuñ
yun to ek zamane se be-rafiq-o-tanha hun
wird-e-har-zaban hun main shahr bhar ka charcha hun
mujh se mil ke har koi sar paTak ke rah jae
jo kahin nahin jata main wo band rasta hun
aaina magar aisa kuchh bhi to nahin kahta
log mujh se kahte hain main bhi ek chehra hun
khinchte ho har jaanib kis liye lakiren si
main na koi rawan hun main na koi sita hun
bhag kar kahan jaun kis jagah aman paun
pattharon ki basti mein main hi ek shisha hun
sar-phiri hawaen ab chheD chheD jaani hain
jo na shaKH par Thahra main wo zard patta hun
mazhar-e-shuja'at hun lekin is se kya hasil
main hujum-e-tiflan mein richh ka tamasha hun
dekhna agar chaho KHud ko dekh lo mujh mein
main mizaj-e-dauran ka aaina-sarapa hun
tishna-e-sama'at hun dasht mein sadaon ke
baat ko tarasta hun gung hun na bahra hun
log mere bare mein kya se kya nahin kahte
main bhi zat par un ki tanz karta rahta hun
log KHwah kuchh bolen koi nam den mujh ko
main 'ramesh-tanha' tha main 'ramesh-tanha' hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.