yun to in aankhon mein aata hai nazar dariya mujhe
yun to in aankhon mein aata hai nazar dariya mujhe
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
yuuñ to in āñkhoñ meñ aatā hai nazar dariyā mujhe
phir bhī us kā qurb rakhtā hai bahut pyāsā mujhe
zindagī bas yaar ke ġham par nahīñ hai munhasir
raat din bechain rakhtā hai ġham-e-duniyā mujhe
ab to in zaḳhmoñ se merī āshnā.ī ho ga.ī
chārāgar behtar yahī hai ab na kar achchhā mujhe
maiñ ki jis ke vāste barsoñ rahā ik aabjū
jaate jaate kar gayā vo ret kā sahrā mujhe
vaz.a kaisī kaisī badlūñ terī ḳhātir zindagī
chhoḌ rahne de zarā jaisā bhī huuñ vaisā mujhe
jab se vo dil meñ basā hai zaat merī anjuman
kaise ye kah duuñ kiyā hai ishq ne rusvā mujhe
is liye mujh se gurezāñ haiñ sahāre aaj bhī
zindagī har moḌ tak le kar ga.ī tanhā mujhe
narm ho miTTī to shāyad khil uTheñ chāhat ke phuul
maiñ ki ik bādal huuñ apnī zaat par barsā mujhe
ho ke 'ḳhāvar' bhī isī ke lutf se raushan huuñ maiñ
be-ruḳhī us kī banā degī shab-e-yaldā mujhe
yun to in aankhon mein aata hai nazar dariya mujhe
phir bhi us ka qurb rakhta hai bahut pyasa mujhe
zindagi bas yar ke gham par nahin hai munhasir
raat din bechain rakhta hai gham-e-duniya mujhe
ab to in zaKHmon se meri aashnai ho gai
chaaragar behtar yahi hai ab na kar achchha mujhe
main ki jis ke waste barson raha ek aabju
jate jate kar gaya wo ret ka sahra mujhe
waza kaisi kaisi badlun teri KHatir zindagi
chhoD rahne de zara jaisa bhi hun waisa mujhe
jab se wo dil mein basa hai zat meri anjuman
kaise ye kah dun kiya hai ishq ne ruswa mujhe
is liye mujh se gurezan hain sahaare aaj bhi
zindagi har moD tak le kar gai tanha mujhe
narm ho miTTi to shayad khil uThen chahat ke phul
main ki ek baadal hun apni zat par barsa mujhe
ho ke 'KHawar' bhi isi ke lutf se raushan hun main
be-ruKHi us ki bana degi shab-e-yalda mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.