yun to kahne ke liye subh ke aasar bhi the
yuuñ to kahne ke liye sub.h ke āsār bhī the
maiñ rahā chup ki mire sāmne kohsār bhī the
ḳhauf se chīḳhne vāloñ meñ akelā maiñ thā
log sahme hue lekin pas-e-dīvār bhī the
tez āñdhī meñ faqat ham gire aisā to nahīñ
duur tak raah meñ ukhḌe hue ashjār bhī the
umr bhar jis kī talab ne rakhā mahsūr hameñ
ham hī us shahr-e-tilismāt ke me.amār bhī the
thā hamīñ se kabhī tahzīb-o-tamaddun kā vaqār
ham kabhī shāḳh-e-gul-e-tar kabhī talvār bhī the
yun to kahne ke liye subh ke aasar bhi the
main raha chup ki mere samne kohsar bhi the
KHauf se chiKHne walon mein akela main tha
log sahme hue lekin pas-e-diwar bhi the
tez aandhi mein faqat hum gire aisa to nahin
dur tak rah mein ukhDe hue ashjar bhi the
umr bhar jis ki talab ne rakha mahsur hamein
hum hi us shahr-e-tilismat ke meamar bhi the
tha hamin se kabhi tahzib-o-tamaddun ka waqar
hum kabhi shaKH-e-gul-e-tar kabhi talwar bhi the
- Book : سکوت دشت (Pg. 49)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.