yun to kahne ko ek qatra hun
yuuñ to kahne ko ek qatra huuñ
sach to ye hai ki juzv-e-daryā huuñ
allah allah ye merī tishna-labī
maiñ samundar bhī pī ke pyāsā huuñ
husn hī husn hai jidhar dekho
sarhad-e-ishq lāñgh aaya huuñ
ġham agar hai to bas mujhe ye hai
rah ke apnoñ meñ bhī parāyā huuñ
ham-nashīñ mujh se hāl-e-zār na pūchh
ban ke nañg-e-vajūd aaya huuñ
jis ko apnā vatan na raas aaya
maiñ vo sābarmatī kā beTā huuñ
zarre zarre meñ terā jalva hai
qatra qatra maiñ tujh ko paayā huuñ
terī hī aarzū meñ jiitā huuñ
terī hī justujū meñ martā huuñ
zindagī apnī dhuup chhāñv 'samī.a'
gaah hañstā huuñ gaah rotā huuñ
yun to kahne ko ek qatra hun
sach to ye hai ki juzw-e-darya hun
allah allah ye meri tishna-labi
main samundar bhi pi ke pyasa hun
husn hi husn hai jidhar dekho
sarhad-e-ishq langh aaya hun
gham agar hai to bas mujhe ye hai
rah ke apnon mein bhi paraya hun
ham-nashin mujh se haal-e-zar na puchh
ban ke nang-e-wajud aaya hun
jis ko apna watan na ras aaya
main wo sabarmati ka beTa hun
zarre zarre mein tera jalwa hai
qatra qatra main tujh ko paya hun
teri hi aarzu mein jita hun
teri hi justuju mein marta hun
zindagi apni dhup chhanw 'samia'
gah hansta hun gah rota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.