yun to mahrum koi bazm mein mai-KHwar nahin
yuuñ to mahrūm koī bazm meñ mai-ḳhvār nahīñ
haañ magar merī taraf chashm-e-fusūñ-kār nahīñ
nāsehā maiñ bhī tirī tarah na baktā kyā kyā
vo to kahiye ki maiñ dīvāna huuñ hushiyār nahīñ
husn-e-rangīñ ke tasavvur ne jalā diiñ sham.eñ
har taraf nuur barastā rahe shab-tār nahīñ
marne vaale kī mohabbat ke the munkir kal tak
aaj iqrār hī iqrār hai inkār nahīñ
lījiye lījiye vo Duub ga.ī nabz-e-marīz
ā.īye ā.īye ab aap kā bīmār nahīñ
us ne Thukrā diyā sad-haif ye kah kar 'paikar'
ek TuuTe hue dil kā maiñ ḳharīdār nahīñ
yun to mahrum koi bazm mein mai-KHwar nahin
han magar meri taraf chashm-e-fusun-kar nahin
naseha main bhi teri tarah na bakta kya kya
wo to kahiye ki main diwana hun hushiyar nahin
husn-e-rangin ke tasawwur ne jala din shamen
har taraf nur barasta rahe shab-tar nahin
marne wale ki mohabbat ke the munkir kal tak
aaj iqrar hi iqrar hai inkar nahin
lijiye lijiye wo Dub gai nabz-e-mariz
aaiye aaiye ab aap ka bimar nahin
us ne Thukra diya sad-haif ye kah kar 'paikar'
ek TuTe hue dil ka main KHaridar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.