yun to main nahin hun tere farman se bahar
yun to main nahin hun tere farman se bahar
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
yuuñ to maiñ nahīñ huuñ tire farmān se bāhar
chāhūñ jo na tujh ko ye hai imkān se bāhar
is rū-e-kitābī pe pasīna hai na ġhāza
shāyad hai tar-o-ḳhushk isī qur.ān se bāhar
mar kar bhī maiñ vahshat hī ke qaabū meñ rahūñgā
ḳhaak uḌ ke na jā.egī bayābān se bāhar
hai qabza-e-qudrat meñ ġham-e-ishq-e-haqīqī
ab charḳh ye khānā hai tire ḳhvān se bāhar
DyoḌhī meñ mahal kī hameñ jo chāhe sunā le
samjheñge kisī din tire darbān se bāhar
gosh-e-dil-o-jāñ meñ haiñ amānat tirī bāteñ
motī kabhī nikleñge na is kaan se bāhar
ghar baiThe ho kis tarah tire husn kā shohrā
yūsuf ko milā martaba kan.ān se bāhar
phir nikleñ mah-o-mehr chamak kar to maiñ jānūñ
be-parda agar aao tum aivān se bāhar
vo basta-e-zanjīr-e-ḳhamoshī huuñ ki tā-hashr
nikle mire naale bhī na zindān se bāhar
chāroñ taraf ik dam meñ na.ī chāñdnī chhiTkī
shab ko nikal aa.e jo vo dālān se bāhar
nashshe meñ unhīñ ke mujhe darkār haiñ bose
jo pista-e-ḳhandāñ haiñ gazak-dān se bāhar
sajda tumheñ kar baiTheñge kuffār-o-musalmāñ
ab ke bhī agar aaoge is shaan se bāhar
ab haath magar gardan-e-nāzuk meñ paḌā hai
hogā na gila un kā garebān se bāhar
sābit-qadam-e-ma.arka aa pahuñche ab ai ishq
sar de ke bhī jā.eñge na maidān se bāhar
ġhairoñ ke tasavvur meñ rasā.ī huī kyūñkar
kis vaqt ga.e aap mire dhyān se bāhar
ausāf-e-qad-e-yār bhī mauzūñ karo ai 'bazm'
kyoñ nuur kā misrā rahe dīvān se bāhar
yun to main nahin hun tere farman se bahar
chahun jo na tujh ko ye hai imkan se bahar
is ru-e-kitabi pe pasina hai na ghaza
shayad hai tar-o-KHushk isi quran se bahar
mar kar bhi main wahshat hi ke qabu mein rahunga
KHak uD ke na jaegi bayaban se bahar
hai qabza-e-qudrat mein gham-e-ishq-e-haqiqi
ab charKH ye khana hai tere KHwan se bahar
DyoDhi mein mahal ki hamein jo chahe suna le
samjhenge kisi din tere darban se bahar
gosh-e-dil-o-jaan mein hain amanat teri baaten
moti kabhi niklenge na is kan se bahar
ghar baiThe ho kis tarah tere husn ka shohra
yusuf ko mila martaba kanan se bahar
phir niklen mah-o-mehr chamak kar to main jaanun
be-parda agar aao tum aiwan se bahar
wo basta-e-zanjir-e-KHamoshi hun ki ta-hashr
nikle mere nale bhi na zindan se bahar
chaaron taraf ek dam mein nai chandni chhiTki
shab ko nikal aae jo wo dalan se bahar
nashshe mein unhin ke mujhe darkar hain bose
jo pista-e-KHandan hain gazak-dan se bahar
sajda tumhein kar baiThenge kuffar-o-musalman
ab ke bhi agar aaoge is shan se bahar
ab hath magar gardan-e-nazuk mein paDa hai
hoga na gila un ka gareban se bahar
sabit-qadam-e-marka aa pahunche ab ai ishq
sar de ke bhi jaenge na maidan se bahar
ghairon ke tasawwur mein rasai hui kyunkar
kis waqt gae aap mere dhyan se bahar
ausaf-e-qad-e-yar bhi mauzun karo ai 'bazm'
kyon nur ka misra rahe diwan se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.