yun to mera safar tha sahra tak
yuuñ to merā safar thā sahrā tak
pyaas le aa.ī mujh ko dariyā tak
aa.ina sā use banāne meñ
bhuul baiThā maiñ apnā chehra tak
ānā-jānā hai ab bhī sāñsoñ kā
kar liyā zindagī se jhagḌā tak
aap manzil kī chhoḌiye sāhab
maiñ ne Thukrā diyā hai rasta tak
nazr maiñ ne kiyā hai manzar ko
āñkhoñ ke baad ab kaleja tak
yun to mera safar tha sahra tak
pyas le aai mujh ko dariya tak
aaina sa use banane mein
bhul baiTha main apna chehra tak
aana-jaana hai ab bhi sanson ka
kar liya zindagi se jhagDa tak
aap manzil ki chhoDiye sahab
main ne Thukra diya hai rasta tak
nazr main ne kiya hai manzar ko
aankhon ke baad ab kaleja tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.