yun to mera us se koi parda bhi nahin hai
yuuñ to mirā us se koī parda bhī nahīñ hai
lekin kabhī maiñ ne use dekhā bhī nahīñ hai
insān hai vo koī farishta bhī nahīñ hai
us sā koī duniyā meñ nirālā bhī nahīñ hai
duniyā meñ kisī ko kabhī kamtar nahīñ samjhā
maiñ kaun huuñ kyā huuñ kabhī sochā bhī nahīñ hai
kyā jāniye kyoñ log guzar jaate haiñ kaT kar
merā to kisī se koī rishta bhī nahīñ hai
dushman se fuzūñ-tar hai nigahbān kī quvvat
shāyad mire dushman ne ye sochā bhī nahīñ hai
kyoñ merī sadā sun ke zamāna hai ġhazab meñ
aisā koī ūñchā mirā lahja bhī nahīñ hai
kyoñ mere liye daar sajāyā gayā 'tābish'
maiñ ne to kisī ko kabhī Tokā bhī nahīñ hai
yun to mera us se koi parda bhi nahin hai
lekin kabhi main ne use dekha bhi nahin hai
insan hai wo koi farishta bhi nahin hai
us sa koi duniya mein nirala bhi nahin hai
duniya mein kisi ko kabhi kamtar nahin samjha
main kaun hun kya hun kabhi socha bhi nahin hai
kya jaaniye kyon log guzar jate hain kaT kar
mera to kisi se koi rishta bhi nahin hai
dushman se fuzun-tar hai nigahban ki quwwat
shayad mere dushman ne ye socha bhi nahin hai
kyon meri sada sun ke zamana hai ghazab mein
aisa koi uncha mera lahja bhi nahin hai
kyon mere liye dar sajaya gaya 'tabish'
main ne to kisi ko kabhi Toka bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.