yun to mujhko loriyan KHud hi sunati raat hai
yuuñ to mujh ko loriyāñ ḳhud hī sunātī raat hai
aur ḳhud hī niiñd se aksar jagātī raat hai
din Dhale jaise hī terī yaad ke saa.eñ baḌheñ
is liye ḳhud ban ke sūraj jagmagātī raat hai
merī ye koshish rahī hai ḳhud ko maiñ raushan karūñ
par hamesha gird mere rahtī kaalī raat hai
maiñ karūñ ma.asūmiyat us kī bayāñ kuchh is tarah
chehre par zulfeñ girā kar vo hai kahtī raat hai
ab nahīñ mujh ko zarūrat DhūñDhne kī mai-kada
kyūñki merā ishq mai hai aur saaqī raat hai
yun to mujh ko loriyan KHud hi sunati raat hai
aur KHud hi nind se aksar jagati raat hai
din Dhale jaise hi teri yaad ke saen baDhen
is liye KHud ban ke suraj jagmagati raat hai
meri ye koshish rahi hai KHud ko main raushan karun
par hamesha gird mere rahti kali raat hai
main karun masumiyat us ki bayan kuchh is tarah
chehre par zulfen gira kar wo hai kahti raat hai
ab nahin mujh ko zarurat DhunDhne ki mai-kada
kyunki mera ishq mai hai aur saqi raat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.