yun to mushkil tha tere sath guzara karna
yuuñ to mushkil thā tire saath guzārā karnā
par mire bas meñ na thā tujh se kinārā karnā
jaañ hathelī pe dhare dauḌe chale ā.eñge
bas hameñ sub.h-e-vatan ek ishāra karnā
ek hī shaḳhs se ka.ī baar mohabbat kī hai
is ko kahte haiñ mirī jaan ḳhasāra karnā
yaad ab tak mujhe aatā hai shab-e-tanhā.ī
vo tirā mujh ko sū-e-dasht pukārā karnā
ik nazar mujh pe bhī ho arz-o-samā ke mālik
terī qudrat meñ hai patthar ko sitāra karnā
chāñd kis baat kī hai tujh meñ akaḌ bol zarā
shāh-e-taiba zarā unglī kā ishāra karnā
is ta'alluq ko mire paañv kī beḌī na samajh
mujh ko aatā hai mire dost kinārā karnā
maiñ ki sahrā bhī huuñ dariyā bhī huuñ jangal bhī huuñ
mujh ko jis naam se marzī hai pukārā karnā
maiñ mukammal thā to dhutkār diyā thā tū ne
ab adhūrā huuñ adhūre pe guzārā karnā
apne hāthoñ pe liye baiThe ho āñkheñ 'dā.em'
kis ne bolā thā sar-e-tūr nazāra karnā
yun to mushkil tha tere sath guzara karna
par mere bas mein na tha tujh se kinara karna
jaan hatheli pe dhare dauDe chale aaenge
bas hamein subh-e-watan ek ishaara karna
ek hi shaKHs se kai bar mohabbat ki hai
is ko kahte hain meri jaan KHasara karna
yaad ab tak mujhe aata hai shab-e-tanhai
wo tera mujh ko su-e-dasht pukara karna
ek nazar mujh pe bhi ho arz-o-sama ke malik
teri qudrat mein hai patthar ko sitara karna
chand kis baat ki hai tujh mein akaD bol zara
shah-e-taiba zara ungli ka ishaara karna
is ta'alluq ko mere panw ki beDi na samajh
mujh ko aata hai mere dost kinara karna
main ki sahra bhi hun dariya bhi hun jangal bhi hun
mujh ko jis nam se marzi hai pukara karna
main mukammal tha to dhutkar diya tha tu ne
ab adhura hun adhure pe guzara karna
apne hathon pe liye baiThe ho aankhen 'daem'
kis ne bola tha sar-e-tur nazara karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.