yun to pichhle sal ka mausam bhi kuchh achchha na tha
yun to pichhle sal ka mausam bhi kuchh achchha na tha
Aftab Ahmad Shah
MORE BYAftab Ahmad Shah
yuuñ to pichhle saal kā mausam bhī kuchh achchhā na thā
zahr bastī kī fazā meñ is qadar phailā na thā
is qadar surḳhī na thī rang-e-shafaq meñ dosto
āsmāñ kā rang pahle yuuñ kabhī gadlā na thā
maiñ na kah paayā to kyā tujh se na ban paayā to kyā
maiñ na thā koī bhikārī tū koī daatā na thā
raat din kī sarhadoñ meñ ab nahīñ hotī tamīz
vo bhī kyā din the ki din kaaTe kabhī kaTtā na thā
ham to apne dard se haare sadā dete rahe
be-hisī ke gumbadoñ meñ koī darvāza na thā
yun to pichhle sal ka mausam bhi kuchh achchha na tha
zahr basti ki faza mein is qadar phaila na tha
is qadar surKHi na thi rang-e-shafaq mein dosto
aasman ka rang pahle yun kabhi gadla na tha
main na kah paya to kya tujh se na ban paya to kya
main na tha koi bhikari tu koi data na tha
raat din ki sarhadon mein ab nahin hoti tamiz
wo bhi kya din the ki din kaTe kabhi kaTta na tha
hum to apne dard se haare sada dete rahe
be-hisi ke gumbadon mein koi darwaza na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.