yun to sab duniya mein duniya har-ik mahfil mein hai
yun to sab duniya mein duniya har-ik mahfil mein hai
Anjum Fauqi Badayuni
MORE BYAnjum Fauqi Badayuni
yuuñ to sab duniyā meñ duniyā har-ik mahfil meñ hai
maiñ huuñ jis duniyā meñ vo duniyā tumhāre dil meñ hai
is haqīqat se bhī ai arbāb-e-sāhil hoshiyār
ek nā-mālūm tūfān parda-e-sāhil meñ hai
be-ḳhabar haiñ qāfile vaale abhī is raaz se
manzil-e-maqsūd rāhoñ meñ nahīñ hai dil meñ hai
maiñ ne hī kuchh soch kar us ko batā dī rāh-e-dost
varna is manzil meñ kab thā ishq jis manzil meñ hai
tum mirī jānib agar dekho to maiñ kuchh bhī nahīñ
maiñ agar dil kī taraf dekhūñ to sab kuchh dil meñ hai
ab to 'anjum' saarī duniyā gosh-bar-āvāz hai
kah bhī do mard-e-ḳhudā jo kuchh tumhāre dil meñ hai
yun to sab duniya mein duniya har-ik mahfil mein hai
main hun jis duniya mein wo duniya tumhaare dil mein hai
is haqiqat se bhi ai arbab-e-sahil hoshiyar
ek na-malum tufan parda-e-sahil mein hai
be-KHabar hain qafile wale abhi is raaz se
manzil-e-maqsud rahon mein nahin hai dil mein hai
main ne hi kuchh soch kar us ko bata di rah-e-dost
warna is manzil mein kab tha ishq jis manzil mein hai
tum meri jaanib agar dekho to main kuchh bhi nahin
main agar dil ki taraf dekhun to sab kuchh dil mein hai
ab to 'anjum' sari duniya gosh-bar-awaz hai
kah bhi do mard-e-KHuda jo kuchh tumhaare dil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.