yun to sab kuchh kaha kare koi
yuuñ to sab kuchh kahā kare koī
vo na māneñ to kyā kare koī
jab vafā par jafā kare koī
ulTī duniyā ko kyā kare koī
haal dekhā mirā to farmāyā
yuuñ na mujh par marā kare koī
dard ruktā nahīñ kisī pahlū
haa.e aise meñ kyā kare koī
thaam kar dil ko aah kartā huuñ
phir na mujh se gila kare koī
haiñ masīhā to hoñ mujhe kyā kaam
merī aa kar davā kare koī
vo na aa.e jo fātiha paḌhne
apnī taqdīr kyā kare koī
mar ga.e ham isī tamanna meñ
dil kī bāteñ sunā kare koī
yun to sab kuchh kaha kare koi
wo na manen to kya kare koi
jab wafa par jafa kare koi
ulTi duniya ko kya kare koi
haal dekha mera to farmaya
yun na mujh par mara kare koi
dard rukta nahin kisi pahlu
hae aise mein kya kare koi
tham kar dil ko aah karta hun
phir na mujh se gila kare koi
hain masiha to hon mujhe kya kaam
meri aa kar dawa kare koi
wo na aae jo fatiha paDhne
apni taqdir kya kare koi
mar gae hum isi tamanna mein
dil ki baaten suna kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.