Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to shumar sab ka wahan doston mein tha

Basit Azeem

yun to shumar sab ka wahan doston mein tha

Basit Azeem

MORE BYBasit Azeem

    yuuñ to shumār sab vahāñ dostoñ meñ thā

    shāmil magar na koī kisī ke dukhoñ meñ thā

    mere ḳhilāf jis ne bune sāzishoñ ke jaal

    vo mere dushmanoñ meñ nahīñ dostoñ meñ thā

    maanā ki ham ko aap se thiiñ ranjisheñ bahut

    lekin kuchh aap ke bhī ta'assub diloñ meñ thā

    maiñ jāntā huuñ dūsre nāmoñ ke saath saath

    ḳhud merā naam bhī to mire qātiloñ meñ thā

    tūfān so ga.e the agar sat.h-e-āb par

    lekin vo iztirāb jo kal sāhiloñ meñ thā

    kal shab maiñ apne saath rahā thā magar nahīñ

    haañ yaad aa gayā ki 'ajab uljhanoñ meñ thā

    aksar to bin-piye maiñ bad-mast ho gayā

    aisā surūr aisā nasha un rutoñ meñ thā

    'bāsit' ġham-e-zamāna se ġhāfil nahīñ thā maiñ

    saare jahāñ ġham bhī to mere ġhamoñ meñ thā

    yun to shumar sab ka wahan doston mein tha

    shamil magar na koi kisi ke dukhon mein tha

    mere KHilaf jis ne bune sazishon ke jal

    wo mere dushmanon mein nahin doston mein tha

    mana ki hum ko aap se thin ranjishen bahut

    lekin kuchh aap ke bhi ta'assub dilon mein tha

    main jaanta hun dusre namon ke sath sath

    KHud mera nam bhi to mere qatilon mein tha

    tufan so gae the agar sath-e-ab par

    lekin wo iztirab jo kal sahilon mein tha

    kal shab main apne sath raha tha magar nahin

    han yaad aa gaya ki 'ajab uljhanon mein tha

    aksar to bin-piye hi main bad-mast ho gaya

    aisa surur aisa nasha un ruton mein tha

    'basit' gham-e-zamana se ghafil nahin tha main

    sare jahan ka gham bhi to mere ghamon mein tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now