yun to shumar us ka mere bhaiyon mein tha
yuuñ to shumār us kā mire bhā.iyoñ meñ thā
maiñ thā lahū lahū vo tamāshā.iyoñ meñ thā
chehre se maiñ ne ġham kī lakīreñ miTā to diiñ
lekin jo karb ruuh kī gahrā.iyoñ meñ thā
vo hausla ki pher de jo āñdhiyoñ ke ruḳh
vo hausla abhī mirī paspā.iyoñ meñ thā
detā hai roz ik nayā ilzām āj-kal
pahle vo shaḳhs bhī mire shaidā.iyoñ meñ thā
kahte haiñ ek maiñ na thā badnām shahr meñ
charchā tire bhī naam kā rusvā.iyoñ meñ thā
'irfāñ' vo kam-nasīb ki thā jān-e-anjuman
yāroñ ke beach rah ke bhī tanhā.iyoñ meñ thā
yun to shumar us ka mere bhaiyon mein tha
main tha lahu lahu wo tamashaiyon mein tha
chehre se main ne gham ki lakiren miTa to din
lekin jo karb ruh ki gahraiyon mein tha
wo hausla ki pher de jo aandhiyon ke ruKH
wo hausla abhi meri paspaiyon mein tha
deta hai roz ek naya ilzam aaj-kal
pahle wo shaKHs bhi mere shaidaiyon mein tha
kahte hain ek main na tha badnam shahr mein
charcha tere bhi nam ka ruswaiyon mein tha
'irfan' wo kam-nasib ki tha jaan-e-anjuman
yaron ke beach rah ke bhi tanhaiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.