yun to uski wusaton mein kya nahin
yuuñ to us kī vus.atoñ meñ kyā nahīñ
vo samundar hai magar gahrā nahīñ
ghaT gayā sab zor-e-sailāb-e-junūñ
karb kā dariyā magar utrā nahīñ
dūsroñ se nisbatoñ kā kyā savāl
merā ḳhud se bhī koī rishta nahīñ
dekhtā huuñ jo vo kartā huuñ raqam
maiñ ḳhilāf-e-sāneha likhtā nahīñ
maiñ samundar vo sulagtā dasht hai
mere jaisā merā ham-sāya nahīñ
ham zamīñ vaale hī shar-angez haiñ
āsmāñ se koī shar utrā nahīñ
qātilo ye munsifoñ kā shahr hai
ḳhuun mahñgā hai yahāñ sastā nahīñ
mere jism-o-jāñ pe us kā iḳhtiyār
maiñ ne jis kā aks bhī dekhā nahīñ
mujh pe bhī utrā sahīfa dard kā
maiñ bhī tujh jaisā huuñ tū tanhā nahīñ
yun to us ki wusaton mein kya nahin
wo samundar hai magar gahra nahin
ghaT gaya sab zor-e-sailab-e-junun
karb ka dariya magar utra nahin
dusron se nisbaton ka kya sawal
mera KHud se bhi koi rishta nahin
dekhta hun jo wo karta hun raqam
main KHilaf-e-saneha likhta nahin
main samundar wo sulagta dasht hai
mere jaisa mera ham-saya nahin
hum zamin wale hi shar-angez hain
aasman se koi shar utra nahin
qatilo ye munsifon ka shahr hai
KHun mahnga hai yahan sasta nahin
mere jism-o-jaan pe us ka iKHtiyar
main ne jis ka aks bhi dekha nahin
mujh pe bhi utra sahifa dard ka
main bhi tujh jaisa hun tu tanha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.