yun to wo mujhse siwa mera bhala chahta hai
yuuñ to vo mujh se sivā merā bhalā chāhtā hai
jaane kyuuñ chāhtā hai mujh se vo kyā chāhtā hai
sāl-hā-sāl se maiñ to safar-e-ḳhvāb meñ huuñ
vahī nādāñ hai ki ta.abīr-e-vafā chāhtā hai
hijr kī raat meñ bhī dard ke āshob meñ bhī
dil use chāhtā rahtā hai sadā chāhtā hai
kis tarah se dil-e-vahshī ko bhalā samjhā.ūñ
vo to har daam judā rañg judā chāhtā hai
nā-tarāshīda basārat bhī basīrat Thahrī
ye na honā thā magar ye bhī huā chāhtā hai
us ko dushman bhī kahūñ us se adāvat bhī rakhūñ
us se maiñ pyaar karūñ dil to baḌā chāhtā hai
yun to wo mujh se siwa mera bhala chahta hai
jaane kyun chahta hai mujh se wo kya chahta hai
sal-ha-sal se main to safar-e-KHwab mein hun
wahi nadan hai ki tabir-e-wafa chahta hai
hijr ki raat mein bhi dard ke aashob mein bhi
dil use chahta rahta hai sada chahta hai
kis tarah se dil-e-wahshi ko bhala samjhaun
wo to har dam juda rang juda chahta hai
na-tarashida basarat bhi basirat Thahri
ye na hona tha magar ye bhi hua chahta hai
us ko dushman bhi kahun us se adawat bhi rakhun
us se main pyar karun dil to baDa chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.