yun uDati hai jo hawa mujhko
yuuñ uḌātī hai jo havā mujh ko
pahle halkā bahut kiyā mujh ko
muddatoñ se yahāñ muqaffal huuñ
aa kabhī aa ke khaTkhaTā mujh ko
āḳhirī vaqt aa gayā hai kyā
de rahe haiñ sabhī duā mujh ko
tujh tak aane kabhī nahīñ degā
mere hisse kā dā.era mujh ko
roz-marra kī is kahānī meñ
koī kirdār to banā mujh ko
ishq adab hai to apne aap aa.e
gar sabaq hai to phir paḌhā mujh ko
kar ke saudā jo paañv kā baiThā
de gayā koī rāsta mujh ko
vo koī aam sā hī jumla thā
tere muñh se burā lagā mujh ko
yun uDati hai jo hawa mujh ko
pahle halka bahut kiya mujh ko
muddaton se yahan muqaffal hun
aa kabhi aa ke khaTkhaTa mujh ko
aaKHiri waqt aa gaya hai kya
de rahe hain sabhi dua mujh ko
tujh tak aane kabhi nahin dega
mere hisse ka daera mujh ko
roz-marra ki is kahani mein
koi kirdar to bana mujh ko
ishq adab hai to apne aap aae
gar sabaq hai to phir paDha mujh ko
kar ke sauda jo panw ka baiTha
de gaya koi rasta mujh ko
wo koi aam sa hi jumla tha
tere munh se bura laga mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.