yun un ke hasin ruKH par zulfon ki har ek laT hai
yuuñ un ke hasīñ ruḳh par zulfoñ kī har ik laT hai
jaise gul-e-nāzuk par pattoñ kā ye ghūñghaT hai
ta.azīm karo yaaro ta.azīm karo yaaro
ye baar kī chaukhaT hai sarkār kī chaukhaT hai
har haal meñ rakhnā hai saaqī kā bharam tum ko
mai-kash ho to pī jaao gar jaam meñ talchhaT hai
ye jaan aur īmāñ kī dushman hī sahī lekin
añgūr kī ye beTī zālim baḌī naTkhaT hai
chehra ho mohabbat ho ḳhushbū ho tabassum ho
jī chāhe jise dekho har shai meñ milāvaT hai
ab us kī mohabbat par kaise ho yaqīñ jis ke
chehre pe hai naqqālī bātoñ meñ banāvaT hai
ai 'nūr' samajhnā hai bhūkamp ke maqsad ko
ye qahr-e-ilāhī hai yā vaqt kī karvaT hai
yun un ke hasin ruKH par zulfon ki har ek laT hai
jaise gul-e-nazuk par patton ka ye ghunghaT hai
tazim karo yaro tazim karo yaro
ye bar ki chaukhaT hai sarkar ki chaukhaT hai
har haal mein rakhna hai saqi ka bharam tum ko
mai-kash ho to pi jao gar jam mein talchhaT hai
ye jaan aur iman ki dushman hi sahi lekin
angur ki ye beTi zalim baDi naTkhaT hai
chehra ho mohabbat ho KHushbu ho tabassum ho
ji chahe jise dekho har shai mein milawaT hai
ab us ki mohabbat par kaise ho yaqin jis ke
chehre pe hai naqqali baaton mein banawaT hai
ai 'nur' samajhna hai bhukamp ke maqsad ko
ye qahr-e-ilahi hai ya waqt ki karwaT hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.