yun wafa aazmai jati hai
yuuñ vafā āzmā.ī jaatī hai
dil kī rag rag dikhā.ī jaatī hai
apnī sūrat ke aa.ine meñ mujhe
merī sūrat dikhā.ī jaatī hai
ek halkī sī muskurāhaT se
na.ī duniyā banā.ī jaatī hai
na bane baat kuchh to hañs denā
baat yuuñ bhī banā.ī jaatī hai
jalne vaalā jale dhuāñ bhī na ho
aag yuuñ bhī lagā.ī jaatī hai
jaane vaale tujhe ḳhabar bhī hai
ik qayāmat sī aa.ī jaatī hai
chashm-e-umnīd tujh ko us kī shakl
duur se phir dikhā.ī jaatī hai
dil kī chhoTī sī ik kahānī thī
ḳhatm par vo bhī aa.ī jaatī hai
vo jo chamkā thā ik sitārā sā
ik ghaTā us pe chhā.ī jaatī hai
dil pe ubhrī thī vo jo ik tasvīr
kitnī jaldī miTā.ī jaatī hai
lau lagā.ī thī sham-e-mahfil se
vo bhī ab jhilmilā.ī jaatī hai
dūsroñ se 'razā' kisī kī yaad
kis tarah se bhulā.ī jaatī hai
yun wafa aazmai jati hai
dil ki rag rag dikhai jati hai
apni surat ke aaine mein mujhe
meri surat dikhai jati hai
ek halki si muskurahaT se
nai duniya banai jati hai
na bane baat kuchh to hans dena
baat yun bhi banai jati hai
jalne wala jale dhuan bhi na ho
aag yun bhi lagai jati hai
jaane wale tujhe KHabar bhi hai
ek qayamat si aai jati hai
chashm-e-umnid tujh ko us ki shakl
dur se phir dikhai jati hai
dil ki chhoTi si ek kahani thi
KHatm par wo bhi aai jati hai
wo jo chamka tha ek sitara sa
ek ghaTa us pe chhai jati hai
dil pe ubhri thi wo jo ek taswir
kitni jaldi miTai jati hai
lau lagai thi sham-e-mahfil se
wo bhi ab jhilmilai jati hai
dusron se 'raza' kisi ki yaad
kis tarah se bhulai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.