yun wahshat-e-junun se bachaya gaya mujhe
yuuñ vahshat-e-junūñ se bachāyā gayā mujhe
ḳhalvat se duur bhiiḌ meñ laayā gayā mujhe
chashma haTā ke shahr ghumāyā gayā mujhe
jo thā nahīñ vo sab bhī dikhāyā gayā mujhe
maiñ thā buzurg peḌ sā āñgan ke biich meñ
so dekhtā gayā jo dikhāyā gayā mujhe
ik hādse meñ jal ke mirī maut ho ga.ī
maiñ jal chukā thā phir bhī jalāyā gayā mujhe
maqsad thā un kā lūTnā mujh ko jue meñ so
pahle-pahal to yūñhī jatāyā gayā mujhe
maiñ thā charāġh aur mirā me.aar dekhne
sūraj kī raushnī meñ jalāyā gayā mujhe
yun wahshat-e-junun se bachaya gaya mujhe
KHalwat se dur bhiD mein laya gaya mujhe
chashma haTa ke shahr ghumaya gaya mujhe
jo tha nahin wo sab bhi dikhaya gaya mujhe
main tha buzurg peD sa aangan ke bich mein
so dekhta gaya jo dikhaya gaya mujhe
ek hadse mein jal ke meri maut ho gai
main jal chuka tha phir bhi jalaya gaya mujhe
maqsad tha un ka luTna mujh ko jue mein so
pahle-pahal to yunhi jataya gaya mujhe
main tha charagh aur mera mear dekhne
suraj ki raushni mein jalaya gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.