yunhi be-baal-o-par khaDe hue hain
yūñhī be-bāl-o-par khaḌe hue haiñ
ham qafas toḌ kar khaḌe hue haiñ
dasht guzrā hai mere kamre se
aur dīvār-o-dar khaḌe hue haiñ
ḳhud hī jaane lage the aur ḳhud hī
rāsta rok kar khaḌe hue haiñ
aur kitnī ghumāoge duniyā
ham to sar thaam kar khaḌe hue haiñ
barguzīda buzurg niim ke peḌ
thak ga.e haiñ magar khaḌe hue haiñ
muddatoñ se hazār-hā aalam
ek ummīd par khaḌe hue haiñ
yunhi be-baal-o-par khaDe hue hain
hum qafas toD kar khaDe hue hain
dasht guzra hai mere kamre se
aur diwar-o-dar khaDe hue hain
KHud hi jaane lage the aur KHud hi
rasta rok kar khaDe hue hain
aur kitni ghumaoge duniya
hum to sar tham kar khaDe hue hain
barguzida buzurg nim ke peD
thak gae hain magar khaDe hue hain
muddaton se hazar-ha aalam
ek ummid par khaDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.