yunhi chupke chupke rona yunhi dil hi dil mein baaten
yunhi chupke chupke rona yunhi dil hi dil mein baaten
Masood Akhtar Jamal
MORE BYMasood Akhtar Jamal
yūñhī chupke chupke ronā yūñhī dil hī dil meñ bāteñ
baḌī kashmakash ke din haiñ baḌī uljhanoñ kī rāteñ
hai nafas nafas farozāñ hai mizha mizha charāġhāñ
baḌī dhuum se uThī haiñ ġham-o-dard kī barāteñ
mire zehn kī ḳhalā meñ mire dil kī vus.atoñ meñ
kahīñ rañg-o-bū ke ḳheme kahīñ nuur kī qanāteñ
unheñ ai ġham-e-zamāna kabhī rā.egāñ na karnā
haiñ bahut latīf-o-nāzuk ġham-e-dil kī vārdāteñ
ye 'jamāl' mai-kada hai nahīñ yaañ koī takalluf
o arab ajam ke jhagḌe na hasab nasab na zāteñ
yunhi chupke chupke rona yunhi dil hi dil mein baaten
baDi kashmakash ke din hain baDi uljhanon ki raaten
hai nafas nafas farozan hai mizha mizha charaghan
baDi dhum se uThi hain gham-o-dard ki baraaten
mere zehn ki KHala mein mere dil ki wusaton mein
kahin rang-o-bu ke KHeme kahin nur ki qanaten
unhen ai gham-e-zamana kabhi raegan na karna
hain bahut latif-o-nazuk gham-e-dil ki wardaten
ye 'jamal' mai-kada hai nahin yan koi takalluf
o arab ajam ke jhagDe na hasab nasab na zaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.