yunhi jo karte rahenge mushahida dil ka
yūñhī jo karte raheñge mushāhida dil kā
chamak uThegā kisī roz aa.ina dil kā
hamārī raah meñ dīvār uThā ke duniyā ne
qadam qadam pe baḌhāyā hai hausla dil kā
maqām aisā bhī aatā hai rāh-e-ulfat meñ
qubūl aql bhī kartī hai mashvara dil kā
bhaTak na jaa.e kahīñ dhaḌkanoñ ke jañgal meñ
dimāġh DhūñDne niklā hai rāsta dil kā
ye hichkiyoñ kā tasalsul bilā-sabab to nahīñ
zarūr dil se tumhāre hai silsila dil kā
bas itnī baat pe ham ne shikast kar lī qubūl
kisī ne de diyā chupke se vāsta dil kā
tum apne 'shād' se hargiz na bad-gumāñ honā
ki bad-gumānī se baḌhtā hai fāsla dil kā
yunhi jo karte rahenge mushahida dil ka
chamak uThega kisi roz aaina dil ka
hamari rah mein diwar uTha ke duniya ne
qadam qadam pe baDhaya hai hausla dil ka
maqam aisa bhi aata hai rah-e-ulfat mein
qubul aql bhi karti hai mashwara dil ka
bhaTak na jae kahin dhaDkanon ke jangal mein
dimagh DhunDne nikla hai rasta dil ka
ye hichkiyon ka tasalsul bila-sabab to nahin
zarur dil se tumhaare hai silsila dil ka
bas itni baat pe hum ne shikast kar li qubul
kisi ne de diya chupke se wasta dil ka
tum apne 'shad' se hargiz na bad-guman hona
ki bad-gumani se baDhta hai fasla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.