yunhi kaTi hai zindagi tanha
yūñhī kaaTī hai zindagī tanhā
ġham ho chāhe ki ho ḳhushī tanhā
haq kahegī zabān ye merī
chāhe kar de ye gaam hī tanhā
ik diyā hī bahut hai jo kar de
ghup añdhere meñ raushnī tanhā
us kā lahja mujhe Darātā hai
us ko kar de na be-hisī tanhā
raaz dil ke dabe hī rahne do
kar na de tum ko āgahī tanhā
mahfileñ roz hī haiñ sajtī magar
phir bhī lagtā hai har koī tanhā
saath thā yuuñ to umr bhar koī
'rūbī' phir bhī magar rahī tanhā
yunhi kaTi hai zindagi tanha
gham ho chahe ki ho KHushi tanha
haq kahegi zaban ye meri
chahe kar de ye gam hi tanha
ek diya hi bahut hai jo kar de
ghup andhere mein raushni tanha
us ka lahja mujhe Daraata hai
us ko kar de na be-hisi tanha
raaz dil ke dabe hi rahne do
kar na de tum ko aagahi tanha
mahfilen roz hi hain sajti magar
phir bhi lagta hai har koi tanha
sath tha yun to umr bhar koi
'rubi' phir bhi magar rahi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.