yunhi kufr har subh har sham hoga
yunhi kufr har subh har sham hoga
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
yūñhī kufr har sub.h har shaam hogā
ilāhī kabhū yaañ bhī islām hogā
kahīñ kaam meñ vo to ḳhud-kām hogā
yahāñ kaam āḳhir hai vaañ kaam hogā
yahī dil agar hai yahī be-qarārī
tah-e-ḳhāk bhī ḳhaak ārām hogā
sanam tiin pāñch aap kā chaar din hai
sadā ek allāh kā naam hogā
ye mizhgāñ vo haiñ jin kī kāvish se ik din
mushabbak jigar misl-e-bādām hogā
buto jab ki āġhāz-e-ulfat hai ye kuchh
ḳhudā jaane kyā is kā anjām hogā
duā ke evaz gāliyāñ aur to kyā
ināyāt yahī mujh ko in.aam hogā
ye do ik balā haiñ giraftār un kā
koī sub.h hogā koī shaam hogā
yahī sub.h aur shaam tak gar amal hai
amal terī zulfoñ kā tā-shām hogā
maiñ vo nā-tavāñ huuñ agar zab.h kiije
na ik naala mujh se sar-anjām hogā
jū bismil tū kartā hai bismillāh ai shoḳh
tire kaam meñ merā bhī kaam hogā
mirī lag rahīñ chhat se āñkheñ haiñ dekho
musharraf kab is se lab-e-bām hogā
kabhū tū bhī hogā musalmān ai but
sadā terā jhūTā hī paiġhām hogā
shikār-e-ajal hoñge ik roz ham sab
hamesha na rustam na yaañ saam hogā
kahāñ hai vo said-afganī gor meñ aah
ḳhudā jaane kyā hāl-e-bahrām hogā
na sun merī 'ehsā۔n' mubārak tujhe ishq
mujhe kyā tirā naam badnām hogā
yunhi kufr har subh har sham hoga
ilahi kabhu yan bhi islam hoga
kahin kaam mein wo to KHud-kaam hoga
yahan kaam aaKHir hai wan kaam hoga
yahi dil agar hai yahi be-qarari
tah-e-KHak bhi KHak aaram hoga
sanam tin panch aap ka chaar din hai
sada ek allah ka nam hoga
ye mizhgan wo hain jin ki kawish se ek din
mushabbak jigar misl-e-baadam hoga
buto jab ki aaghaz-e-ulfat hai ye kuchh
KHuda jaane kya is ka anjam hoga
dua ke ewaz galiyan aur to kya
inayat yahi mujh ko inam hoga
ye do ek bala hain giraftar un ka
koi subh hoga koi sham hoga
yahi subh aur sham tak gar amal hai
amal teri zulfon ka ta-sham hoga
main wo na-tawan hun agar zabh kije
na ek nala mujh se sar-anjam hoga
ju bismil tu karta hai bismillah ai shoKH
tere kaam mein mera bhi kaam hoga
meri lag rahin chhat se aankhen hain dekho
musharraf kab is se lab-e-baam hoga
kabhu tu bhi hoga musalman ai but
sada tera jhuTa hi paigham hoga
shikar-e-ajal honge ek roz hum sab
hamesha na rustam na yan sam hoga
kahan hai wo said-afgani gor mein aah
KHuda jaane kya haal-e-bahram hoga
na sun meri 'ehsa۔n' mubarak tujhe ishq
mujhe kya tera nam badnam hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.