yunhi sote se kabhi jag ke uThne ka sabab
yūñhī sote se kabhī jaag ke uThne kā sabab
shab to hogā tumheñ dil ke dhaḌakne kā sabab
dil key rāhoñ se ḳhalāoñ ke safar tak key ghuTan
aur kuchh soch ke ā.īne ko takne kā sabab
is guzargāh se hargiz vo guzarne kā nahīñ
phir usī moḌ pe tanhā tire rukne kā sabab
alvidā.a kahne jo aayā thā tirā kyā thā batā
us se mil kar ye tere phuuT ke rone kā sabab
koī chehra koī ḳhushbū na kahīñ koī sarāb
aisī tanhā.ī se 'mansūr' ulajhne kā sabab
yunhi sote se kabhi jag ke uThne ka sabab
shab to hoga tumhein dil ke dhaDakne ka sabab
dil key rahon se KHalaon ke safar tak key ghuTan
aur kuchh soch ke aaine ko takne ka sabab
is guzargah se hargiz wo guzarne ka nahin
phir usi moD pe tanha tere rukne ka sabab
alwidaa kahne jo aaya tha tera kya tha bata
us se mil kar ye tere phuT ke rone ka sabab
koi chehra koi KHushbu na kahin koi sarab
aisi tanhai se 'mansur' ulajhne ka sabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.