yunhi to nahin tark ke imkan hue hain
yūñhī to nahīñ tark ke imkān hue haiñ
kuchh jaan ke hī tujh se ham anjān hue haiñ
ham tere jatāne se haiñ ġhamgīn vagarna
ham par to ka.ī martaba ehsān hue haiñ
āzād parindoñ kī taraf dekh rahā huuñ
is qaid se kyā kyā nahīñ nuqsān hue haiñ
ham talḳh hue ḳhud se ka.ī roz bilā-vaj.h
tab jā ke har ik shaḳhs pe āsān hue haiñ
kab mil ke sañvāreñge kahāñ kaun sī saa.at
kuchh faisle is hijr ke daurān hue haiñ
yunhi to nahin tark ke imkan hue hain
kuchh jaan ke hi tujh se hum anjaan hue hain
hum tere jatane se hain ghamgin wagarna
hum par to kai martaba ehsan hue hain
aazad parindon ki taraf dekh raha hun
is qaid se kya kya nahin nuqsan hue hain
hum talKH hue KHud se kai roz bila-wajh
tab ja ke har ek shaKHs pe aasan hue hain
kab mil ke sanwarenge kahan kaun si saat
kuchh faisle is hijr ke dauran hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.