yunhi udas hai dil be-qarar thoDi hai
yūñhī udaas hai dil be-qarār thoḌī hai
mujhe kisī kā koī intizār thoḌī hai
nazar milā ke bhī tum se gila karūñ kaise
tumhāre dil pe mirā iḳhtiyār thoḌī hai
mujhe bhī niiñd na aa.e use bhī chain na ho
hamāre biich bhalā itnā pyaar thoḌī hai
ḳhizāñ hī DhūñDhtī rahtī hai dar-ba-dar mujh ko
mirī talāsh meñ pāgal bahār thoḌī hai
na jaane kaun yahāñ saañp ban ke Das jaa.e
yahāñ kisī kā koī e'tibār thoḌī hai
yunhi udas hai dil be-qarar thoDi hai
mujhe kisi ka koi intizar thoDi hai
nazar mila ke bhi tum se gila karun kaise
tumhaare dil pe mera iKHtiyar thoDi hai
mujhe bhi nind na aae use bhi chain na ho
hamare bich bhala itna pyar thoDi hai
KHizan hi DhunDhti rahti hai dar-ba-dar mujh ko
meri talash mein pagal bahaar thoDi hai
na jaane kaun yahan sanp ban ke Das jae
yahan kisi ka koi e'tibar thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.