yurish-e-gham se dil-o-jaan ko bachaun kaise
yūrish-e-ġham se dil-o-jāñ ko bachā.ūñ kaise
so rahī hai mirī taqdīr jagā.ūñ kaise
aql kuchh kahtī hai aur dil ke taqāze haiñ kuchh aur
ā.īna mujh se jo kahtā hai batā.ūñ kaise
ashk to pī liye nāmūs-e-vafā kī ḳhātir
ġham jo chehre se jhalaktā hai chhupā.ūñ kaise
dil hī jab mujh se baġhāvat pe kamar-basta ho
us ke hāthoñ meñ ho āñchal to chhuḌā.ūñ kaise
hai udhar us kī mohabbat to idhar majbūrī
dil ke āñgan kī ye dīvār girā.ūñ kaise
bazm meñ chheḌtī rahtī haiñ kisī kī nazreñ
dil machal jaa.e jo aise meñ manā.ūñ kaise
qahqahoñ ne hī bharam rakkhā hai ab tak merā
ho ke sanjīda 'vafā' ashk chhupā.ūñ kaise
yurish-e-gham se dil-o-jaan ko bachaun kaise
so rahi hai meri taqdir jagaun kaise
aql kuchh kahti hai aur dil ke taqaze hain kuchh aur
aaina mujh se jo kahta hai bataun kaise
ashk to pi liye namus-e-wafa ki KHatir
gham jo chehre se jhalakta hai chhupaun kaise
dil hi jab mujh se baghawat pe kamar-basta ho
us ke hathon mein ho aanchal to chhuDaun kaise
hai udhar us ki mohabbat to idhar majburi
dil ke aangan ki ye diwar giraun kaise
bazm mein chheDti rahti hain kisi ki nazren
dil machal jae jo aise mein manaun kaise
qahqahon ne hi bharam rakkha hai ab tak mera
ho ke sanjida 'wafa' ashk chhupaun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.