yusuf ki tarah kyon koi bazar mein aae
yūsuf kī tarah kyoñ koī bāzār meñ aa.e
jo narḳh bhī ab tab.a-e-ḳharīdār meñ aa.e
miltī hī nahīñ qaid-e-tamannā se rihā.ī
ham kis qafas-e-be-dar-o-dīvār meñ aa.e
ban ban ke savāneh mirī har vāqi.a guzrā
sab log simaT kar mire kirdār meñ aa.e
vo ishq nahīñ hai ki huvaidā ho nazar se
iḳhlās kahāñ ma.ariz-e-iz.hār meñ aa.e
bandoñ ke tasarruf meñ sahī rizq ḳhudāyā
aa.e to ye ham tak kisī miqdār meñ aa.e
nīlām kiyā bhī to qalam ke na uThe daam
ausāf sab is ahd ke talvār meñ aa.e
phirtā huuñ liye jins-e-vafā shahr meñ 'shaukat'
shāyad nazar-e-sāhab-e-me.ār meñ aa.e
yusuf ki tarah kyon koi bazar mein aae
jo narKH bhi ab taba-e-KHaridar mein aae
milti hi nahin qaid-e-tamanna se rihai
hum kis qafas-e-be-dar-o-diwar mein aae
ban ban ke sawaneh meri har waqia guzra
sab log simaT kar mere kirdar mein aae
wo ishq nahin hai ki huwaida ho nazar se
iKHlas kahan mariz-e-izhaar mein aae
bandon ke tasarruf mein sahi rizq KHudaya
aae to ye hum tak kisi miqdar mein aae
nilam kiya bhi to qalam ke na uThe dam
ausaf sab is ahd ke talwar mein aae
phirta hun liye jins-e-wafa shahr mein 'shaukat'
shayad nazar-e-sahab-e-mear mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.