Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yusuf ki tarah raunaq-e-bazar rahe hain

Naseem Ansari

yusuf ki tarah raunaq-e-bazar rahe hain

Naseem Ansari

MORE BYNaseem Ansari

    yūsuf tarah raunaq-e-bāzār rahe haiñ

    bikne ke liye shauq se tayyār rahe haiñ

    ham ne kabhī sūraj se ujālā nahīñ māñgā

    ik chāñd se chehre ke talabgār rahe haiñ

    dīvānoñ ko zanjīr kuchh ḳhauf nahīñ hai

    tā-umr to zulfoñ meñ giraftār rahe haiñ

    kyā hogā nasha zar se ḳharīdī huī mai meñ

    ham āñkhoñ se piine ke gunahgār rahe haiñ

    lekin hameñ be-māya-o-bekār na jaano

    maanā tirī bastī meñ baḌe ḳhvār rahe haiñ

    bhūle se kabhī un ko siyahkār na kahnā

    jo log haqīqat meñ siyahkār rahe haiñ

    behtar hai karo un satā.ish sar-e-mahfil

    kah do ki baḌe sāhib-e-kirdār rahe haiñ

    maanā ki baḌe sahl haiñ tere liye ham log

    duniyā ke liye uqda-e-dushvār rahe haiñ

    har gosha-e-tārīk munavvar kiyā ham ne

    har bazm meñ ham the jo ziyā-bār rahe haiñ

    yusuf ki tarah raunaq-e-bazar rahe hain

    bikne ke liye shauq se tayyar rahe hain

    hum ne kabhi suraj se ujala nahin manga

    ek chand se chehre ke talabgar rahe hain

    diwanon ko zanjir ka kuchh KHauf nahin hai

    ta-umr to zulfon mein giraftar rahe hain

    kya hoga nasha zar se KHaridi hui mai mein

    hum aankhon se pine ke gunahgar rahe hain

    lekin hamein be-maya-o-bekar na jaano

    mana teri basti mein baDe KHwar rahe hain

    bhule se kabhi un ko siyahkar na kahna

    jo log haqiqat mein siyahkar rahe hain

    behtar hai karo un ki sataish sar-e-mahfil

    kah do ki baDe sahib-e-kirdar rahe hain

    mana ki baDe sahl hain tere liye hum log

    duniya ke liye uqda-e-dushwar rahe hain

    har gosha-e-tarik munawwar kiya hum ne

    har bazm mein hum the jo ziya-bar rahe hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now