yusufi gar nahin mumkin to zuleKHai kar
yūsufī gar nahīñ mumkin to zuleḳhā.i kar
un se paidā koī taqrīb-e-shanāsā.ī kar
pahle har ġham kī mohabbat meñ pazīrā.ī kar
chaak phir dāman-e-tamkīn-o-shakebā.ī kar
rū-ba-rū un ke mirā haal sunāne vaale
apnī jānib se bhī kuchh hāshiya-ārā.ī kar
na tamannā na tirī yaad na ġham ho na ḳhushī
kabhī aisā bhī atā ālam-e-tanhā.ī kar
merī qismat meñ haiñ patthar tirī qismat meñ haiñ phuul
apnī shohrat se na andāza-e-rusvā.ī kar
sab mire hāl-e-pareshāñ kā uḌāte haiñ mazāq
ai ġham-e-dost mirī hausla-afzā.ī kar
yusufi gar nahin mumkin to zuleKHai kar
un se paida koi taqrib-e-shanasai kar
pahle har gham ki mohabbat mein pazirai kar
chaak phir daman-e-tamkin-o-shakebai kar
ru-ba-ru un ke mera haal sunane wale
apni jaanib se bhi kuchh hashiya-arai kar
na tamanna na teri yaad na gham ho na KHushi
kabhi aisa bhi ata aalam-e-tanhai kar
meri qismat mein hain patthar teri qismat mein hain phul
apni shohrat se na andaza-e-ruswai kar
sab mere haal-e-pareshan ka uDate hain mazaq
ai gham-e-dost meri hausla-afzai kar
- Book : sheerazah (Pg. 38)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.