zad-e-rah le ke yaadon ki tanwir main
zād-e-rah le ke yādoñ kī tanvīr maiñ
gum-shuda rāstoñ kā huuñ rāhgīr maiñ
us se kah do ki le jaa.e āñkheñ mirī
us kī dil meñ sañbhālūñgā tasvīr maiñ
gaañv ujḌā huā phir se ābād ho
ik havelī karūñ aisī ta.amīr maiñ
koī batlā.e bhī kyā ḳhatā hai mirī
kis liye sah rahā huuñ yuuñ ta.azīr maiñ
mujh ko dī hai amānat miyāñ qais ne
ishq terī baḌhā.ūñgā tauqīr maiñ
mere apne haiñ shāmil saf-e-dushmanāñ
kaise 'arshad' uThā.ūñgā shamshīr maiñ
zad-e-rah le ke yaadon ki tanwir main
gum-shuda raston ka hun rahgir main
us se kah do ki le jae aankhen meri
us ki dil mein sanbhaalunga taswir main
ganw ujDa hua phir se aabaad ho
ek haweli karun aisi tamir main
koi batlae bhi kya KHata hai meri
kis liye sah raha hun yun tazir main
mujh ko di hai amanat miyan qais ne
ishq teri baDhaunga tauqir main
mere apne hain shamil saf-e-dushmanan
kaise 'arshad' uThaunga shamshir main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.